1. husn-e-maah, garche ba-hangaam-e-kamaal achchaa hai
Us-se mera maah-e-khursheed-e-jamaal achcha hai

[ maah/ماہ = moon, Khursheed/خورشید = sun, jamaal/جمال = beauty, ba-hañgām-e-kamāl/بہ_ہنگام_کمال = at the height of tumult ]

2. bosa dete naheen aur dil pe hai har lahja nigaah
jee mein kehte hain, muft aaye to maal achcha hai

[ bosa/بوسہ = kiss, Lahja/لہجہ = Manner ]

3. aur baazaar se le aaye agar toot gaya
saaghar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

[ saaghar-e-jam/ساغر جم = Badshah Jamshed’s Goblet,
jaam-e-sifaal/جام سفال = clay cup ]

4. be-talab dain to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho Khoo-e-sawaal achcha hai

[ be-talab/بے طلب = without asking, gada/گدا = beggar,
Khoo-e-sawaal/خوئے_سوال = habit of questioning]

5. unke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

6. dekhiye paate hain ushshaaq buton se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

[ ushshaaq/عشاق = lovers, faiz/فیض = profit/success ]

7. ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

[ ham_suKHan/ہم_سخن = together, tesha/تیشہ = axe ]

8. qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma’aal achcha hai

[ ma’aal/मआल/مآل = result ]

9. KHijr Sultaan ko rakhe KHaaliq-e-akbar sarsabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

[ KHijr Sultaan/خضر_سلطاں = Khizr of king (allusion to hazrat Khizr)
KHaaliq-e-akbar/خالق_اکبر = The Creator/God,
sarsabz/سرسبز = fertile/productive,
nihaal/نہال = plant ]

10. hamko ma’aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, ‘GHalib’ yeh KHayaal achcha hai

~ Ghalib

And song from Movie, Mirza Ghalib… .